Saturday, November 3, 2007

mai aur tum

meri khushiyo ka karwa tumhari dahliz se gujarta hai;
jab jab wo suhane pal yad ate hai,
aankho se aansuo ka katra bahta hai;
jane kya jurm tha jo saza mili judai ki hume;
pyar khata hai to har koi ise khuda ki rahmat kyo kahta hai;
aaj bhi ye dil tumhare naam se dhadkta hai;
aaj bhi har lamha tumhari yaad me gujarta hai;
fark to chand faslo ka hai varna;
tassvur me aaj bhi har waaqt tumhara chehra rahta hai...

No comments: